Write By #AryaTechLoud
Kya aapka mobile slow ho gaya hai? Aur bar-bar hang ho jata hai. Aise un
sabhi smartphones ke sath hota hai jo samaj ke sath purane ho jate hai aur
kabhi update nahi hue hote hai. Mobile hang hona kisi ko bhi pasand nahi hai,
kyuki hamhe mobile me sab kuch fast chahiye.
Read This - PUBG के जगह ये गेम खेले ?
Read This - 5 Way Earn Money Online Anonymously
Read This - भूल गए हैं पैटर्न लॉक? तो ऐसे करें स्मार्टफोन अनलॉक
Aaj hum janenge ki
mobile hang kyu hota hai aur mobile ko hang hone se kaise bachaye? Aur sath hi
janenge ki mobile ki speed kaise badhaye.
Mobile
Phone Hang Kyu Hota Hai?
Jab hum koi naya
phone lete hai tho wo poori tarah se fresh hota hai. Usme koi user data aur
cache file nahi hote hai. Lekin kuch time baad mobile ke storage me Temporary
Files, Application cached data aur user data store hone lagta hai. Jisse mobile
ki speed par effect padne hai.
Mobile phone ki speed kam hona ya hang hone ka ek sabse bada karan ye hai
ki hum mobile me bekar ki apps install kar lete hai. Hum un apps ka use tho
nahi karte lekin hamhare mobile ko un sabhi installed apps ko process karna
padta hai. Jisse mobile ki speed par effect padta hai.
Mobile Phone Ko Fast Kaise Kare?
Aap in simple se
tips ko follow karke apne Android Smartphone ki speed badha sakte hai.
Mobile Update kare
Sabse pehle aap apne Android phone ko update kare. Androids phone ka update mobile ki speed badhane ke liye hi banaya jata hai. Apne phone ka update check karne ke liye→Setting→About Phone→Software Update par click kare. Agar aapke mobile ka update available ho tho aap use download kar install kare.
Read This - PUBG के जगह ये गेम खेले ?
Read This - 5 Way Earn Money Online Anonymously
Read This - भूल गए हैं पैटर्न लॉक? तो ऐसे करें स्मार्टफोन अनलॉक
Cached Data Clear Kare
Hamhare Phone me bahut sari apps hone ke karan unka cached data store hota rehta hai. Jis app ka cache data bahut jyada hoga wo app utna hi dheere kaam karega. Aur jabhi ham us app ko use karenge tho hamhara mobile slow ho jayega.
Cached data clear
karne ke liye →Setting→Storage→Cached data par
click kare aur sara data clear kar de. Agar aapke mobile ki setting me Cached
data option nahi hai tho aap →Setting→Appsme
jaye. Phir us app ko open kare jo aap sabse jyada use karte hai. Uske baad Clear cache par click kare.
Unused Apps Ko Uninstall
Kare
Agar aapke mobile
me bahut sari apps installed hai. Jinhe aap kabhi use nahi karte, tho aap unhe
uninstall kar de. Aisa karne se mobile ke processor ko jyada kaam nahi karna
padega.
Apps Notification Off
Kare
Jabhi ham mobile me internet on karte hai tho bahut sare notification alerts aa jate hai. Aise me mobile sabse jyada slow ho jata hai. Kisi bhi app ka notification band karne ke liye →Setting→Appsme jaye. Phir us app ko click kare jiska notification aap band karna chahate hai. Waha par apko Show Notification dekhega uske samne check ✔ nishan ko uncheck karde. Phir wo aap kabhi bhi notification alert nahi dekhayega.
Read This - PUBG के जगह ये गेम खेले ?
Read This - 5 Way Earn Money Online Anonymously
Read This - भूल गए हैं पैटर्न लॉक? तो ऐसे करें स्मार्टफोन अनलॉक
Home Screen Simple Rakhe
Home Screen par
bahut saare widget hone se mobile ki speed par asar padta hai. Animation wale
wallpapers use na kare aur apps shortcut bhi kam se kam rakhe.
Auto Sync Off Rakhe
Hum sab apne mobile
me Google account ko add kar dete hai. Aur sab apps ko auto sync ki permission
de dete hai. Ye jo data sync hota hai wo mobile ki performance par bahut
jyada asar dalta hai aur sath hi sath battery life par bhi asar dalta hai.
Isko band karne ke liye →Setting→Account me jaye aur Auto Sync Data ko
off karde.
Factory Data Reset
Ye option maine aapko sabse last me isliye bataya hai ki ye option use karne se apka mobile reset ho jayega. Reset hone ke baad mobile ka saara data delete ho jayega aur mobile phirse starting jaisa ho jayega. Is option ko tabhi istamal kare jab apki mobile ki speed bahut slow ya phir apka mobile bahut hi jyada hang hone lage.
Factory Reset karne ke liye →Setting→Backup & Reset par click kare yaha aapko sabse pehle Backup my data option dekhega. Pehle aap ek Backup bana le aur ye backup aapke Google account se server par upload ho jayega. Iske baad Factory data reset karde.
Read This - PUBG के जगह ये गेम खेले ?
Read This - 5 Way Earn Money Online Anonymously
Read This - भूल गए हैं पैटर्न लॉक? तो ऐसे करें स्मार्टफोन अनलॉक
Tags
Tech & Science